Sasural mein usne sabka dil jeeta,
Chahe apna dil hazaro tukdo mien tuta,
Jeevan sangini ka har dharm nibhaya,
Chahe usne apna har sukh khoya...!
kyu kabhi koi samajh na paya uske dil ki gehrayi ko ?
Aapno ko chodneka gum ya parayon ko apnane ki koshish ko...
Har ek pal kuch khone ka darr kyu hota hai usko?...
Hasne ki aarzoo, aur duriyon ka gum kyon chubta hai usko?...
Kyu hota hai aisa...
Ladki ko har kurbaani deni padti hai...?
Hass kar chale woh sabke sang
Kathinaiyon ka saamna karti rahegi..,
Apne muuh se uuff tak na niklegi,
har mod pe bas samjhota hai,
Socha toh har shaqs bas ek dhoka hai..
Bas itni si hoti hai har ladki ki zindagi,
Kurbaani dete hue dhalti hai uski zindagi,
Har pal usse kuch cheenleti hai zindagi,
Badle mein kuch aur kurbaaniya likh jaati hai zindagi.......
Badle mein kuch aur kurbaaniya likh jaati hai zindagi.............


Nice one dear dil chu liya bus yeh hi hai har ek ke ghar ki ladli ka jeevan.... Haste hue har gham sehna phir bhi apne farz se peche na hatna....
ReplyDeleteLadli.... Ghar aati hai ek nani pari ban kar... Ek pari ka jeevan hi aapne aap mein anmol hota hai... So lets be happy hum bhi kisiki Ladli hai... jo hume bahaut pyar karte hai:)
ReplyDeleteaccha hai......
ReplyDeletekhushi ke pal bhi dhunde usne un tanhaiyon mein....
bas ab intezaar hai use ek pari ka aane ka.. jiske saath woh apni zindagi jee legi...
uske saath woh abhi gheraiyon ko bhi haste hue bhar legi..
Vishwaas hai use apne pe.. ki woh use is kaabil banaayegi .... ki uski laadli.. Hamesha laadli hi kehlaayegi....
Naa use dhoke milenge, Naa use sehna padega...
Haste hue aayegi woh uske aagan mein aur haste hue hi jaayegi... :)